Aarzoo to badey hi, dil mey liye baitha tha...
Aarzoo to badey hi, dil mey liye baitha tha, Zindagi aap ke saath bitaane ki tamanna liye baitha tha, Jeewan ki is raah mey, aap ke saath ki guzarish thi. Jab yea pata bhi tha ki, hum, aapko quabool hi na the. Naa jane kyon har lamha yaad karta tha tumhey, Aap ke saath betaayi hui har pal nazar aati thi humey, laakh koshish ki, phir bhi bhula na paaya tumhe, Jab yea pata bhi tha ki, hum, aapko quabool hi na the. Shaq to koi nahi ki jigar me bhara, pyaar hi tha, Kisi ne kaaha, dil mey bhara pyaar chahare par dikh jaata hai, Nazar naa aaye to, kaat ke bhi dikha dete hum. Par kya kare aap ney, sar uthake humey dekha tak nahi. Pata tha ki, aap ko, hum quabool hi na the, Phir bhi aap se milne ki tamanna badi dil mey thi, Chahat thi bas milke baat karne ki, Kuch lamhe aap ke saath bitaane ki. Naa jaane phir kab mulaaquat hogi, Hogi bhi to, waqt bahut aage nikal chuki hogi. Tab naa mujhme kuch kahne ki himmat hogi Aur na tumhe kuch sunaney ki ijaazat. Zindagi ka ye kh...