Holi bas rangoon kaa tyovhaar nahi hota
Holi bas rangoon kaa tyovhaar nahi hota, jazbaat miley hoti un rangoon mey Holi sirf rangoon kaa milan nahi hota, khushiya mili hoti hai un rangoon mey rang, bhang aur pichkaari to sab bahaana hai, dosti kaa ehsaas dilaane ka zariya hai. Rang, bhang aur pichkaari to sab bahaana hai, Holi to... dost banaaney ke liye hoti hai, dosti badhaney ki liye hoti hai... ladki ko rang laagaane ke liye hoti hai, bhang ko chadhaane ke liye hoti hai... nukkad pey naachne ke liye hoti hai, paani me bheegne ke liye hoti hai... dubaara bachpan yaad dilaane ke liye hoti hai, masti bhare paloon ko laane ke liye hoti hai... cinema ke geet banaane ke liye hoti hai, box office par chhaane ke liye hoti hai.. khushiya baatne ke liye hoti hai, pyaar badhaane ke liye hoti hai... hai to holi bas ek bahaana... un beeti hui lamho ko yaad dilaane ke liye... hai woh pal tera intazaar mujhe... raah dekhunga rang mai haato me liye...